Sunday, October 14, 2007

Souda-E-Zindagi

Bhaahon mein phool juda hokar bikhar jaate hain
Tum ho sang to zindagi he munawwar

Koi kahe pagal , to koi dewaana mujhe
Ek jalak paane , jo roj idhar aate hein

Door hokar kahan sakoon naseeb hota hai
E khuda tu hi bata, kyu log bichad jaate hain

Hosh khokar jite hai is tarah
Jaana hota hai kahin , jane kidhar jaate hain...

To Sachhayi kya he...

ZINDAGI KEHTI HAI PYRA KAR,
PYAR KEHTA HAI BEWAFAI HAI IS MAIN,
BEWAFAI KEHTI HAI ZAMANA KHARAB HAI,
ZAMANA KEHTA HAI SAMBHAL APNE DIL KO,
DIL KEHTA HAI AAZAAD KER MUJHE IN ULJHANOM SE...

Sunday, October 7, 2007

Salaam

Aadaab-E-Zindagi





A dear one requested me to post the Sher-o-Shayri that I write on some of those rare moments, when my heart is in the mood… I was skeptical about it at first- I didn’t want people labeling me as a confirmed lunatic! Hehehe… Anyways, I’ve decided to start off no matter what… & face your comments bravely!!! Brace yourselves guys…



Pehli salaam he ye hamare un shayaron ko jo banate he dilwale kayi fakiron ko!
Dusri salam he ye hamare un jawaanon ko jo banaate he rangeen, haseen sapnon ko!
Teesri salam he ye hamare un haseenon ko jo karte hein roshan, kayi andhere mehfilon ko!
Akhri salam he ye hamare un farishton ko jo naam dete he ‘SHAYAR’ hum jeise shayaron ko!!!!!!